Headlines
Loading...
I). Tarbiyat ka 9th marhala


Maa ka Aham Kirdar

Bacche ki Tarbiyat me Maa ka kirdar bohot hi Aham hota hai yaad rakhiye , isiliye ke Maa Zimmedar hai Aulad, Shohar aur Shohar ke Gharwalo ki.

Ek Nahna Munha baccha apni Maa ko Sajda karte hue dekh wo bhi sajde me chala jata hai, halanki usko kuch bhi samjhta nahi , tou wohi Nanha Munaa Baccha jab Maa ko Jhuth bolta hua dekhta hai tou jhutha bhi ban jata hai, Chugalkhori karte hue sunta hai phone pe tou khud bhi chugliya karne lag jata hai, Dhokhadhadi sunta hai tou Dhokeybaaz ban jata hai , Maa ko Duniyaparasti me mubtela dekhta hai tou khud bhi Duniyaparast ban jata hai. Tou Maa ka Deenpar hona apne Aulad ki tarbiyat ke liye intehayi jaruri hai yaad rakhiye.

Isiliye kisi kehne walo ne badi khub baat kahi ke “Maa Bacche ka pahla Madarsa (School) hai” agar yaha wo paas ho gaya tou aagey kamiyabi hai aur yaha wo fail ho gaya tou aagey kya ho sakta hai beharhaal Allah reham karey.

Aur jab Maao ne koshish ki apne Aulad ki tarbiyat me tou humne Aisi-Aisi shakhsiyaat dekhi jo duniya ke liye misaale ban gayi , Jaise Abdulaah ibn Umar (R.A.) ! andaza lagaiye kya inke Walid Umar (RaziAllahu Anhu) ke paas itna wakt hua karta tha ke wo apne Aulad ki tarbiyat kar sakey?.. Jihad me lagey hai RasoolAllah (ï·º) ke sath, mahino-mahino tak ghar aana nahi hota.

Usi tarha Abdullah-ibn-Abbas (R.A.), Osama bin Zaid (R.A.) aur lambi fehrist ginayi ja sakti hai aise Sahaba, Tabeyeen , Tabey Tabeyin ki jinka naam aaj hum fakr se letey hai , jinhe Allah ne Sirate Mustakeem par Roshan Chirag ki tarha tamam ummate muslima ke liye misale bana di. kya in ke walid ke paas itna wakt hua karta tha ke wo Aulaad ki tarbiyat kar sakey. Nahi ! ye tou unki Walida (Maa) ki koshish thi jo aaj tamam ummate muslima ke liye misaale hai.

Aur aaj humari maao ne wo Zimma chorr diya fir jo Aulade dikhi beharhaal uska namuna aap sirf ek gali se gujar jaiye jisme ho sakta hai ke aapke gujarne tak aap hazaar gaaliya sun le aur hazar nuksanat aur taklife aapko jhelni padey. Allah Reham karey..

Ye tou Akhlaakh ka muamla hai, ye halaat hai humare muhallo ke , aur ye haalat sirf bahar nahi balki gharo me bhi Bacche apne Maa–Baap ke sath yahi suluk karte hai, kyunki inki tarbiyat par koi dhyan diya hi nahi gaya. ye tou jangli jhaad ki tarha hai jo bus aagaye, ho gaye acche tou ho gaye na hue tou koi inka Pursane Haal nahi.

Tou Maao ne jab apni Zimmedari nibhana chor di tou humne ye natije dekhe, jabki Maa hi Aulad ka pahla madarsa hai. inko chahiye ke ye Aulad ki sabse jyada Acchi Tarbiyat karey.

✦ Maa ki galat tarbiyat ka natija :

Maaye jab tarbiyat acchi nahi karti tou Baap chahe kitna hi Deendar ho kuch asar nahi hota, Aayiye Quraan-e-Kareem se ek Misaal par gour karte hai.
Nooh (Alaihi Salato Salam) Allah Ta’ala ke barguzida Nabi hai , 950 Saal Allah ke deen ki tablig karte hai, lekin Aapki Biwi iman nahi laayi jiska natija ye hua ke apka beta bhi iman nahi laya,. jab maa buri thi tou beta bhi burayi ikhtiyar karta hai,.. yahi haal Lut (Alaihi Salam) ki Aulad ke sath bhi hua,. kyunki Maa bedeen thi lihaja Aulad bhi Bedeen nikli.
Ye do Ambiya (Alaihi Salam) Nabi they Allah ke lekin inki Biwiya Kafir thi. Natijatan inki Aulad bhi kufr ikhtiyar kar letey hai.

Tou Maa ki galat tarbiyat ka natija Nooh (Alaihi Salam) jaise Nabi ka beta bhi baat nahi maana nabi ki, tou Maaye apna role yaad rakhiye ke inki galat tarbiyat ki wajah se bacche bigadtey hai tou Roze Qayamat ye Azabe Jariya ban’ne wala hai.

✦ Maa ki Sahih Tarbiyat ka Asar :

1) Umme Sulem (Razi’Allahu Anha) ka apni Aulaad ki tarbiyat ka tazkira karte hai ke jab inke Shohar yaani Anas bin Malik (R.A.) ke walid (Maalik) they.

Ye Wakiya Allah ke Rasool (ï·º) ke Hijrat se pahle ka hai Jab Umme Sulem (R.A.) Madina me thi aur Iman layi aur inke Shohar Maalik jab ghar aaye tou inke Shohar ne kaha ke tum tou bigad chuki ho(unke hisab se) , Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Deen pe gayi ho, lekin mere betey ko mat bigadna. lekin Umme Sulem (R.A.) baar baar apne betey se kehti ke kaho Anas “la-ilalaha-illalah !” aur Anas(R.A.) Maa ki baat sunkar keh detey they “la-ilalaha-illalah”

Tou Anas (R.A.) ne Baap ki baat na mantey hue Maa ki baat suni, kyunki Maa ka Asar Baap se jyada hota hai Aulad par.

2). isi tarha Hajra (Alahi Salam) bhi ek misaal hai maao ke liye. ke kaisi tarbiyat ki thi unhone apne Bacche Ismayeel (Alaihi Salam) ki , ke jab Baap yaani Ibrahim (Alaihi Salam) 3 se 4 martaba puri zindagi me aatey hai Ismayeel (Alaihi Salam) ke paas, aur jab aakar kaha ke Qurbani ko chalo, tou Ismayeel (Alaihi Salam) ne bina koi sawal kiye kaha ke chalo, Aye mere walid! jo Aap behtar samjhtey ho, jo dekha hai Khwab me kar gujro “Satjiduni in’sha’allahu ma’sabreen!” (in’sha’allah aap mujhe sabr karte hue paoge).

Tou aisa koi Beta ho sakta hai ke Baap itne Zamane baad aaye aur kahe chalo Zuba karna hai aur chale jaye unke sath. ye tarbiyat thi Hajra (Alaihi Salam) ki apne Aulad ki. Lihaja Maa sabse pahle apne aap ko tayyar kar ley aur agar inhone apna Haq ada nahi kiya tou Roze Qayamat ye tayyar rahe apne Azab ke liye.

To be continue ..


♥ in sha Allah ! agley part 8 me hum Baap ka bhi role dekhenge Aulaad ki tarbiyat me.

0 Comments: